Tuesday 14 September 2010

Veer-gati

ja rahe the tarkari laane,hoke hum taiyaar,
kaandhe pe jhola, naino pe enak aur rupaiye chaar.
 
per bachate, raah me bikhre gau-mata ke pyaar se,
ja takraye,cycle par sawaar, apne taranhaar se !!
 
girte-sambhalte, karahte hue, niptayi shisht ta baki,
fat gayi kurti,chhil gaya ghutna,ban gaye langda tyagi !!
 
lage sochne,kaise udaegi gharwali khilli hamari,
ghav pe namak chhidkegi,nagin ichchadhari !!
 
padhke manah-sthiti hamari, kavivar ne ki taiyaari,
kehne lage,"ao mitr, sunata hu kavita, mat ho tum udaas
tumhara man behlane ka karta hu uchit prayaas!!"
 
bas, kha gaye gacchha, ban gaye popat,dhul gayi sab hoshiyari...
thag liya humko,de gaye gola,kavitao ke vyapari...
 
mukharvind se unke behne lagi, veer ras ki aisi nadi,
beh gaya aapa,ghar pahuche hum,bharke saanso me aandhi !!
 
fenka jhola,chadhake bahein, dushman ko lalkara,
par dekh belan se less shrimati, ud gaya josh hamara...
 
diya pralobhan,banaunga bhojan, na karo aur ab kshati,
bas kardo kshama,manlo kehna, na banao sati ka pati...
 
kuch samjhi, kuch na samjhi,wo samajh ke bhi na samjhi,
hum samjhe wo samajh gayi, hum kar gaye fir nasamjhi!!
 
aisa hua satkaar...aisa hua satkaar, ki veer-ras sara,ashrudhaara me beh gaya,
ek baar punah, ye shrota bechara, waah-waah karta reh gaya !!