Tuesday 8 March 2011

Batein

batein.......dher sari, pyari pyari, jag se nyari...batein !!

tumko karna accha lagta, sunke khush ho jate hum bhi
dil behlati batein..

khatti-meethi, chikni-chupdi, iski-uski batein, din bhar
karke man na bharta, uff...kitni sari batein....

kabhi puchke jaisi gol-gol, kabhi jalebi jaise ghuma-fira
kabhi ruk-ruk ke, kabhi thumak thumak, raat bitati batein...

kehne se man halka hota, sunke bhi khil jati bancchhe
kabhi haklati, kabhi tutlati, kabhi ladkhadati si batein..

kabhi karne se tal jata sankat, hal hoti kathinayi,
kabhi bhed paraye khul jate jab le batein angdayi...

kehne ko bemol, bematlab, bemani hai batein
ya pehchani, par anjani ek dor si hai ye batein...

kuch keh jati, kuch reh jati, kuch keh ke bhi reh jati
kuch bina kahe, bina sune, bas yadon me bas jati...

jo sunke aansu jhar jaye, tan-man pavan kabhi kar jaye
andhkaar ko door bhagaye, usha-kiran si batein..... 

to aao milke sunte hai, bagiyo me kaliya chunte hai
jo hriday prafullit-pulkit kar de, aisi batein bunte hai !!